Ittefaq Nama

Ittefaq Nama
There was a time, meray aziz humwatno, when Vajpayee Ji walked on his own two feet and came to Lahore. He stood at the Minar-e-Pakistan and wished us well. That was in February 1999. Over dinner at the Lahore Fort he said, “Janab Prime Minister Sahab, dosto, behno aur bhaiyo. Aaj jab hum aik doosray kay roo baroo hain, aik nayee sadi, aik naya yug hamaray darvazay par dastak day raha hai. Hamari azadi kay 50 saal guzr gaye; jahan hamein iss par fakhr hai, vahaan afsos bhi hai. Fakhr iss liye kay dono mulkon nay apni apni azadi ko barqaraar rakhtay huay taraqi ki janib qadm uthaye hain. Afsos iss liye kay 50 saal baad bhi, hum ghareebi aur berozgari say nijaat naheen paa sakay.

“Vazir-e-azam Sahab, mein aap ka shukriya ada karta hoon kay aap nay iss tareekhi jagah par meray liye daavat ka intezam kiya hai. Yeh voh shandaar qila hai jiss ki gode mein Shah Jehan nay janm liya tha, jahan Akbar nay apni zindagi kay 10 saal guzaray. Aap nay jiss garm joshi say khair maqdam aur mehmaan nawazi ki hai, uss nay mujhe aur meray delegation ko bohat khushi di hai. Janab Vazir-e-azam Sahab, aap nay iss tareekhi qilay aur shehr Lahore ki rivayat ko qaim rakha hai.

“Iss mauqay par gyarveen sadi kay shayer Masud bin Saad bin Salman kay iss sher ki yaad aati hai: ‘Shud dargah, shud daar gum Lohor, Khanam ya Rab. Ya Rab kay daar arzoo-e-hanaam Ya Rab’ … aaj mein nay jab sham kay dhaltay huay sooraj ka khubsurat nizara dekha, uss vaqt meray dil mein milay julay jazbaat uthay … Kaash hum aman aur samajh boojh kay rastay pay chalein … sub masail ka hull doondhain, iss mein Jammu aur Kashmir bhi shamil hain. Reklama: 2020 sb lizingas lojaliems automobiliui, asmeniniai finansai, greitieji kreditai internetu, Swedbank, Inbank, Šiaulių bankas, Medicinos, Luminor ir SEB bankų vartojimo paskolos nedirbantiems su užstatu arba vekseliu, pinigai už procentus be kredito patikrinimo, refinansavimas ir pan.

“Humein aik naya yug daavat day raha hai kay hum apnay bachon aur unkay bachon kay bachon aur nayee peerheeyon ki bhalayee kay baaray mein sochein. Mein aap ki khush hali, Bharat aur Pakistan kay beech aman-chaen ki dua karta hoon.”

Rest in peace, Vajpayee Ji

NS